Game Developer kaise bane? | How to become a Game Developer? | FULL GUIDE.

Hey Namaskar doston to kaise hai aap sabhi, Swagat hai aap sabhi ka im4tech.com par ek baar phir se.

Game Developer kaise bane? | How to become a Game Developer? | FULL GUIDE.


Doston Aaj kal sabhi log Video Games ke diwane hai, Bacche to Bacche bade bhi inn High Tech games ka maza utha rahe hai.Aapne PUBG ke baare me to suna hi hoga Computer ho ya Mobile ye game har jagah trending chal raha hai.

Jyada tar Games Youngsters hi khelte hai kyuki isse achcha timepass hota hai and khelne me maza bhi aata hai.

Lekin kabhi aap ke dimag me ye sawal aaya hai ki jo Games aap khelte ho unhe kaise banaya jaata hai? Ek behatareen Game banane ke liye kis tarah ki skills ki zarurat hai?

Well, Pahle log itna nahi sochte hai, lekin aaj ke Youngsters Games khelne ke saath-saath isme apna Career banane me bhi interest dikha rahe hai, and Game Developer banna chahte hai.

Well, To aaj ke iss Article me mai aapko batane wala hu ki aap ek Game Developer kaise ban sakte hai and aapko poori jaankari denge.

To doston chaliye jaante hai ki Game Developer banne ke liye kya karna chahiye?

Game Developer banne ke liye kya karna chahiye?
To doston jaise-jaise games ka maza fahal raha hai waise-waise Gaming Industry ka vikas ko raha hai.Aaj bohot saare log Gaming Industry me apna career bana rahe hai.Game Designer se lekar Game Developer tak aap Gaming Industry ke bohot saare field me apna career bana sakte hai.




Career in Gaming Industry
  • ‌Game Designer
  • ‌Game Developer
  • ‌Gameplay Programmer
  • ‌Character Animator
  • ‌Art Designer
  • ‌Script Writer
  • ‌Game Tester
  • ‌Game Modeller
  • ‌Level Scripter
  • ‌Level Designer

Lekin isme career banane ke liye aapko kuch training and Knowledge ki zarurat hai jJisse aap Game Developer ban sakte hai.

To doston sabse pahle jaante hai ki Game Developer banne ke liye kya karne ki zarurat hoti hai?

Game Developer banne ke liye kya karne ki zarurat hoti hai?

Game Industry me Technology and Creativity dono ka istemal hota hai.Iske do pahlu hai :-

1) Game Designing - Jisme Game ki story ko script karke usse Design kiya jata hai.,
2) Game Developing - Jisme Game Designing me kalpana ki gayi saari chizo ko create kar ke ek Game banaya jaata hai.

Isme Technology ka istemal kiya jaata hai hala ki jab baat Game Development ko sikhne ki aati hai tab Gaming ke dono hi pahlu ko saath me sikhaya jaata hai.

Lekin aapko Inn dono me se kisi ek ko chunna hoga jisme aapka interest jyada ho.

Game khelna jitna aasan hota hai utna hi mushkil Game Development ka kaam hota hai,Kisi bhi Game ka nirman Multimedia, Computer Programming and Graphics Software ki madad se hota hai.

Ek Video-Game ko banane me kahi mahine lag jaate hai,issliye iss Field me aage badhne ke liye aapko apni skills ko ek Level tak leke jaana hoga.

Agar aapko lagta hai ki aap ek game bana sakte hai and aapka dimag Creativity se bhara hua hai toh aap ek Game Developer banne ke baare me soch sakte hai.

Lekin usse pahle aapko jaanna hoga ke Professional Game Developer banne ke liye Qualification kya honi chaiye?


Qualifications to become a Game Developer | Game Developer banne ki Qualifications

Ab ham jaanenge ke Game Developer banne ke liye kya Qualifications honi chahiye.To guys Game Developer banne ke liye sabse pahle toh aapko apni padhayi poori karni hogi.12th ke baad Graduation to kamse kam karni hi padegi,tab jaake aap kisi Company me Game Developer ke taur par kaam kar payenge.

Game Developer banne ke liye aapko 11th-12th me Science Subject lena hoga taaki aap Maths and Computer Science jaise Subjects se waaqif ho jaaye and inme achcha Score kar sake kyuki Game Developing me yahi sabse jyada kaam aate hai.Maths se aap Calculations kar paayenge and Computer Science se aap Coding achche se kar paayenge.

Waise ye Zaruri nahi hai ke aapke Graduation inhi fields me ho magar aap inhi fields me Graduate hote hai to achcha hoga.

12th ke baad aapko Graduation karna hoga jisse aap Programming and Coding achche se sikh paayenge and saath me kayi Programming language jaise C,C++,java,java Script,SQL, HTML,Php and CSS par apni Command bana paye.

Doston Game Developer banne ke liye kuch best Graduation ke courses hai...


Game Developer banne ke liye Graduation Courses.

  • B.Tech in Computer Science and Game Development
  • B.Sc in Gaming, Graphics and Animation
  • Bachelors in Media Animation and Design
  • B.Sc in Animation, Game Design and Development
  • BA in Animation and Computer Graphics
  • BA in Digital Filmmaking and Animation

Or doston ab jaante hai Game Developer banne ke liye kuch Masters Level ke Courses ke baare me.


Masters Level Courses to become a Game Developer.

  • Integrated M.Sc in Multimedia and Animation with Game Art and Design
  • M.Sc in Gaming
  • M.Sc in Game Design and Development
  • M.Sc in Multimedia and Animation

Inn sabhi Chizo ko karne ke baad aap ek achche Game Developer banne ke liye eligible ban jaayenge and aapko badi-badi Company me job mil jaayegi.

Agar aap kisi waja se Computer ke field me Graduate nahi kar paate hai and phir bhi aap ek Game Developer banna chahte hai to yaha par aap ke liye ek aur rasta bhi hai.

Chahe aapne kisi bhi Field me padhayi ki ho aap phir bhi ek Game Developer ban sakte hai.

Uske liye aapko ek Diploma Course karna hoga jisme aapko Drawing, Designing, Programming, Animation and Digital Arts ki jaankari di jaati hai and iske saath Game banane ke kayi Projects par kaam karna padta hai.Course khatam karne ke baad aapko ek Certificate diya jaaye ha jisse aap kisi bhi Company me Game Developer ki post ke liye apply kar sakte hai.

Kaafi Companies aisi hoti hai jise Student ke degrees se koi lena dena nahi hota, unhe bas Experience wale Game Developers ki zarurat hoti hai.

To ab jaante hai unn Diploma Courses ke baare me jinhe karke aap Game Developer ban sakte hai.


Diploma Courses to Become a Game Developer.


  • Certificate in Gaming,Game Art and Design.
  • Diploma in Game Design or Production Gaming or Animation or Game Programming.
  • Advance Diploma in Game Design and Development Application.


Inn Courses ko karne ke baad aapko as a Game Developer Job mil jaayega agar aap saari skills achche se sikh jaaye.

Aur doston ab jaante hai ki kon-konse institutes hai jo India me Game Developing ka Course sikhate hai.



Best Institutes in India Teaching Game Development Courses.

  • Bharti Vidyapeeth University - Pune
  • Maya Academy of Advanced Cinematic - Mumbai
  • Arena Animation - New Delhi
  • Zee Institute of Creative Arts - Banglore
  • iPxio Animation College - Banglore
  • Animaster Academy (College of Excellence in Animation - Banglore
  • Academy of Animation and Gaming - Noida

Iss samay Rozgar ke lihaz ke Gaming Sector ek bohot achchha Scope hai kyuki India me Gaming Sector kabhi bhi Boom kar sakta hai and kayi Gaming Companies India me apna Setup tayyar kara rahi hai.

Indian Future me Game Developers ki bohot saari mang hone wali hai,to agar aapka sapna hai ek Game Developer banne ke to aap iss mauke ko bilkul mat gawana.

To doston aaj ke iss Article ke liye bas itna hi muje ummeed hai aapko ab achche se samaj aa gaya hoga ki ek Game Developer kaise bante hai.

To milte hai aise hi ek aur naye article ke saath,and make sure hamare iss Post ko Share jarur kare,apna samay dene ke liye aap ka bohat-bohot thanks.Tab tak ke liye keep Smiling...Stay Safe....And Bye..

..... Thanks for Visiting.....

4 comments

  1. Nice Bhai.. thanks
    1. Yr Welcome brother
  2. bhai aap post ki thumbnail images kaise create karte ho post likho iss pr ek please
    1. Sure
© MyFreeTempShop. All rights reserved. Distributed by ASThemesWorld