MCA Course kya hota hai? | What is MCA Course | Full Guide

Hey Namashkar doston swagat hai aap sabhi ka im4tech.com pe ek baar phir se.

MCA Course kya hota hai? | What is MCA Course | Full Guide


Doston aaj kal desh bhar me Computer ki demand kaafi badh gayi hai,ab log na keval Computer sikhte hai balki apne jyadatar kaam Computer ki madad se hi karte hai.Computer ki field ya fir IT Sector me apna career banane ke liye bohot saare courses hote hai,but aaj ke iss Article me ham Computer ke ek Course ke baare me baat karne wale hai...jo hai MCA Course.

Ji haa doston aaj ke iss Article me ham baat karne wale hai ki MCA Course kya hai? MCA Course kitne saal ka hota hai? MCA Course kon kar Sakta hai? MCA karne ke kya fayde hai? and MCA karne ke baad Salary kitni milti hai?

Aise bohot saare Sawaal hai jo Students aksar internet pe aaye din Search karte hai.Toh inn saare sawalon ke jawaab aaj aapko milne wale hai im4tech par ki akhir MCA Course kya hota hai?

What is MCA? MCA kya hota hai?

To doston sabse pahle ham aapko bata de ki MCA ka pura naam hota hai Master Of Computer Applications.Ye Course ek Post Graduation Course hai jo BCA (Bachelor of Computer Applications) ke baad kiya jata hai.

Iss Course ko pura karne me pure 3 Saal ka samay lagta hai.Iss Course me Computer Programming ke Updation ke liye Computer Applications banane ya unke vikas ke baare me Study ki jaati hai.

Iske alawa MCA Course me Advanced Applications ke liye behtar tools ke Vikas ke baare me bhi bataya jata hai.

MCA Course 3 Saal ka hota hai means issme 6 Semesters hote hai.Agar aap bhi Computer aur IT (Information Technology) me apna Career banana chahte hai to MCA Course aapke liye ek behatareen option ho sakta hai.

Educational Qualifications for MCA Course.

Agar aap MCA Course karna chahte ho to ye zaruri hai ki apna Graduation (BCA/BSC ) kar liya ho.Ya koi aisa Course jo Computer se related degree deta ho,Kuch College me chhuth bhi hoti hai ki jab aap 12th Standard me Math aur Computer ke saath padhayi karte hai aur aapne Graduation complete kiya ho.

Graduation me aapke kamse kam 50% Marks to hone hi chaiye.MCA Course me Entrance Exam hote hai,jisme achche Marks laake aap ek achche College ye Institute me Admission le sakte hai.

MCA ke Entrance Exam me Mathematics, Analytics Ability,Logical Reasoning, Computer Awareness and English me Questions puche jaate hai.And saath hi saath MCA course ke liye Maths-Science aur English achchi hona zaruri hota hai.Isse aap MCA Course aasani se kar sakte hai.

Benefits of MCA Course | MCA Course karne ke fayde.

To doston MCA Course karne ke bohot saare fayde hote hai.Ye Course karne ke baad aap kisi bhi chhoti ya badi IT Company me System developer, Software Programmer, Software Developer, System Analyst ya Analyst Software Consultant ke roop me apna Career bana sakte hai.

Infact aap apne dam par apni khud ki Company bhi shuru kar sakte hai, Foreign countries me job kar sakte hai and ek Teacher ke taur par padha bhi sakte hai.

Ab ye to hui baat padhayi aur benefits ki par ab aap ke dimag me aa raha hoga ki MCA Course ke baad Salary kitni hoti hai?

To MCA karne ke baad aaram se 20,000-30,000₹ Rupay tak ki naukri mil sakti hai,and jaise jaise aapka experience badhega aap apni Payment le sakte hai..iske alawa apna khud ka business bhi chala sakte hai.

Career after MCA | MCA ke baad Career opportunities.

To doston ab jaake aap sab ke man me ek sawaal to aaya hi hoga ki MCA karne ke baad Career kya hai?..Well MCA karne ke baad students ko kayi field me Rozgar mil jata hai,kyuki ye course ek Computer se related Course hai and iska kaafi chalan ho gaya hai isliye iss field me apna career aasani se banaya ja sakta hai.


MCA ke baad Jobs kaha-kaha lag sakti hai?
  • ‌Software Companies
  • ‌Govt. Agencies
  • ‌Networking Companies
  • ‌Banking
  • ‌Database Management
  • ‌Technical Support in Various Companies
  • ‌School and Colleges
  • ‌Security and Surveillance Companies

To doston MCA karne ke baad most ye jobs lag sakti hai.

Top 10 Best MCA Colleges in India.

Ab baat karte hai India ki best MCA colleges ke baare me,kyuki India me bohot saare colleges hai jo ki MCA ki degree dete hai jisse Students apne Career ko Secure kar sake.


India's Best MCA teaching Colleges.
  • ‌Indian Institute of Technology (IIT) - Rurki
  • ‌Jawahar Lal Nehru University (JNU) - New Delhi
  • ‌Punjab Agricultural University (PAU) - Ludhiana
  • ‌Madras Christian College (MCC) - Chennai
  • ‌The Oxford College of Science (TOCS) - Bengaluru
  • ‌Govind Vallabh Pant Univ. of Agriculture and Technology - Pantnagar
  • ‌Birla Institute of Technology - Ranchi
  • ‌Maharshi Dayanand University - Rohtak
  • ‌Devi Ahilya University - Indore


FAQs About MCA Course.

MCA ke baare me puche jaane wale sawal aur unke jawaab aapki kaafi help karenge.

Q. MCA Course me kitne Semesters hote hai?->  MCA me 6 Semesters hote hai.

QMCA karne ke liye Sikshik yogyata kya honi chaiye?
->  Students ko 12th me atleast 60% hone chaiye,12th standard me Mathematics zaruri hai.

Q. MCA ke baad Career opportunities kya hai?
->  MCA ke baad Software Companies, Govt. Companies, Networking Companies etc. me apna Career bana sakte hai.

Q. MCA karne ke baad konsi job kar sakte hai?
->  MCA karne ke baaf Software Developer, Software Programmer, System Developer, System Analyst, Software Consultant etc. ke taur pe job kar sakte ho.


To issi ke saath doston ye tha hamara Article MCA ke baare me puri jaankari ke upar.Muje ummed hai ki MCA ke upar aapke saare doubts clear ho gaye honge,agar aur koi doubt hai to please comment below,and hamari Website pe aise hi aur articles dekhne ke liye Subscribe kariye hamari site ko (Via email).

Apna samay dene ke liye bohot-bohot shukriya....Stay safe..Keep Smiling☺️ and Bye.🖐️

1 comment

  1. Hey Manish Rao ,


    Great post with excellent guide of MCA Course. I really like the way you have explained the whole thing about MCA course.



    It is true that most of the people and students are interested in computer field. MCA course is a post graduation course which is done after completing graduation level in computer applications.




    Doing the MCA course will be helpful for students for doing jobs in IT company, software companies, Networking companies, Government agencies, Security & surveillance companies and in banking sectors. Your listed best MCA teaching colleges in India are also great.




    Truly helpful post and thanks for sharing.
© MyFreeTempShop. All rights reserved. Distributed by ASThemesWorld